Nawab ki duniya-ii
Taqreeban do maheene ho gaye apne nawab se mile hue. Akhiri baar jab mila tha to phir se milne ka vaada kiya tha aur main us malang k evade ko sach maan baitha aur uska intzaar karta raha.
Par kahte hai na ki jiska intzaar karo woh kabhi nahi aata aur jab aane ki aas chhod do to achanak bina kisi chetavani kea a dhamkta hai .
To yahi baat mere sath bhi hui, aaj jab aise hi khali baitha apne khayalon ke saath rassa-kassi kar raha tha to dekha ki apne nawab sahib sakshat sashreer mere samne khade the wo bhi mere darwaje par sar se pair tak bheege hue pani se tarbatar.
Maine poocha kya hazrat monsoon ka maza hai ye ya monsoon ki maar ?
To apni jani pehchani ada se nawab sahib ne bola are yaar monsoon ki maar to janta khati hai aur monsoon ke maze sarkaar leti hai.
To maine poocha nawab sahib na to tum janta me aate ho na hi sarkaar me to phir ye bheege balam ki tarah kyo phir rahe ho?
Kahin tumhe kisi ke pyaar ki barish ne to nahi bheega diya,
Nawab bola are apni aisi kismet kahan ki hum par pyaar ki barish ho,aur haan ye to tumne theek kaha ki sarkar ki ginati me to hum aate nahi par tumne humein janta se kyo alag kar diya?
Maine bhi usi ke andaz me jawab diya, miyaan janta ki khasiyat kya hai?
Yahi ki woh hamesha chup rahti hai, sab sahti hai aur soti rahti hai.
Aur agar kabhi galti se jag bhi jae to do-char tayer ya putle, 10-12 bus ya car,20-25 ghar dukaan jala kar apni hi sampatti jalakar apni bhadas nikal kar phir se so jati hai.
Meri is baat me nawab hanste hue bola kya baat hai yaar tum bhi meri hi raah pe nikal pade achha hai ek pagal se bhale do pagal.
To lo miyan suno meri kahani...
To hua ye ki ek din hum aise hi hamesha ki tarah raste ki dhool fank rahe the to achank dekha ki ek bhala aadmi hamari taraf aa raha tha.
“are nawab sahab aapko kaise pata chala ke wo aadmi bhala tha ya nahi?” maine kahani ke beech me hi use tokte hue kaha.
“are yaar apne liye to sab hi bhale hai, humara kya le lenge bura kar ke” nawab ne hanste hue kaha.
“Ab beech me mat tokna ab khamoshi se meri baat suno”
“ to wo bhala aadmi meri taraf aake bola kya nawab jab dekho inhi galiyon me ghoomte rahte ho, in galiyon se bahar niklo aur duniya dekho”
To maine(nawab) ne jawab diya ”are o samjhdari ke putle jab duniya ko hi nahi pata usme kya ho raha hai to mujhe kya khak pata hoga”
To wo aadmi bola ”jao zara delhi ke darshan kar aao, Hindustan ka dil kahte hai delhi ko, dil ka haal jaan loge to sab pata chal jaega”
Nawab ne jawab diya ”dekho bhai main tahra malang nawab par agar tum apne is Hindustan ko ek sharer bolte ho aur delhi ko uska dil to phir meri bhi baat sun lo. Jab is sharer ka dimag shant nahi ,hath pair kaboo me nahi to dil kya karega?”
To wo bola”are nawab ghuma phira ke nahi seedhe seedhe batao main kuch samjha nahi”
To main bola(nawab) ”dekho dil delhi hai to dimag to sar me hi hoga na aur apne is Hindustan ka sar hai jammu kashmeer aur august 47 ke baad shayad hi koi ek din hoga jis din ye dimag shant raha ho, aur rahi baat hath pair ki to ek hath to khud ko hi katne me laga hai chahe wo assam ho Bengal ya phir koi aur utter purvi rajya sab ek dusre ke tukde karna chahte hai, aur jo dusra hath hai usme kabhi dange kabhi tufaan to kabhi akaal aur kuch karne hi nahi dete, aur jo beech ka hissa hai jo Maharashtra banta hai use to pata hi nahi ki sharer me hath pair hote hai ya nahi, use to bardasht hi nahi ki is sharer ke hath ki ek bihar naam ki ungli us mahan rastra se hath milane bhi aa jae, aur bache jo pair hai wo to lagta hai sahi me patal me hi jana chahte hai na wo dil ki sunte na dimag ki woh to uttar dakshinke chakkar me hi fansi hai. Aur jis delhi naam ke dil ki tum baat kar rahe ho to uske dil me azadi ke waqt ek chota sa surakh tha jo ab ek bada s ached ban gaya hai aur us ched me andhere me rahne wale khoon choosne wale hazaron pissu ne ghar bana liya hai, wo pissu is sharer ke hark one se aate hai pahle hath jodkar panah mangte hai aur phir us sharer ko nochne me lag jate hai phir chahe wo pissu kisi bhi jati ke ho khaki wale khadi wale ya imported suit wale
Par ab jab tumne bol hi diya to tumhari ichha puri karne ko ghoom hi aate hai delhi naam ke is dil me bhi ”
To doston ab chalta hai aapka ye nawab delhi ki sair par aur delhi ki dastan agli baar.
To ye thi meri kahani nawab hanste hue bola.
Ek baar phir nawab ne hansi hansi me hi kuch chupe hue ghaav udhed diye is Hindustan naam ke sharer ke aur is sharer me khoon ki tarah bahne wale aam aadmi ke aur bhigata hua chala gaya mujhe bhi apne sath is barish me.
No comments:
Post a Comment